pata-pata buta-buta hal hamara jane hai
jane na jane gul hi na jane, bag to sara jane hai
lagne na de bas ho to us k gauhar-e-gosh k bale tak
us ko falak chashm-e-mai-o-khor ki titli ka tara jane hai
age us mutaqabbar k ham Khuda Khuda kiya karte hain
kab maujud khuda ko wo magrur khud-ara jane hai
ashiq sa to sada koi aur na hoga duniya main
ji k zian ko ishq main us k apna wara jane hai
charagari bimari-e-dil ki rasm-e-shahar-e-husn nahin
warna dilbar-e-nadan bhi is dard ka chara jane hai
kya hi shikar-farebi par magrur hai wo sayad bacha
tayar urte hawa main sare apni usra jane hai
mehar-o-wafa-o-lutf-o-inayat ek se waqif in main nahin
aur to sab kuch tanz-o-kanaya ramz-o-ishara jane hai
kya kya fitne sar par us k lata hai mashuq apna
jis bedil betab-o-tawan ko ishq ka mara jane hai
ashiq to murda hai hamesha ji uthta hai dekhe use
yar k a jane ko yakayak umr do bara jane hai
rakhnon se diwar-e-chaman k munh ko le hai chipa ya'ani
un surakhon k tuk rahne ko sau ka nazara jane hai
tashna-e-khun hai apna kita 'Mir' bhi nadan talkhikash
damdar ab-e-teg ko us k ab-e-gawara jane hai