Tiri Qudrat ko yaa Rab ! zarray zarray sey a'yaaN dekhaa
Qamar maiN ,shams maiN ,anjum maiN Tujh ko zaufishaaN dekhaa
Who sheereeN Naam hai ALLAH kaa jo RaaHat-e-dil hai
Fanaa jo ho geya Us par, usay hi jaawidaaN dekhaa
Pukaaraa markaz-e-dil sey to paayaa paas hi Us ko
Usay hi BaKhshnay waalaa ,Usay hi MehrbaaN dekhaa
Sahaaraa be-basoN kaa hai , Who mazloomoN kaa Waali hai
Usi kay aastaanay ko panaah-e-be-kasaaN dekhaa
Samajh saktaa naheeN Israar Haq kay aa'dam-e-Khaaki
Na aiesaa falsafi dekhaa , na aiesaa nukta daaN dekhaa
Gulistaan-e-jahaaN maiN Phool ki faryaad Sun yaa Rab !
Tiraa hi Naam lay kar us ko maSroof-e-fuGhaaN dekhaa
(Poet : Tanwir Phool)
You can read more poetry of Tanwir Phool at these links :
http://urdunetjpn.com/ur/category/tanwir-phool/
http://www.urdubandhan.com/bazm/viewtopic.php?f=8&t=7438