yeh Aarzu thi tujhe gul ke rubaru karte
ham aur bulbul-e betab guftagu karte.
payambar na muyassar hua to khub hua
zaban-e ghair se kya sharh-e arzu karte.
meri tarah se mah-o mihr bhi hain avara
kisi habib ki yih bhi hain justaju karte.
jo dekhte tere zanjir-e zulf ka alam
asir hone ki azad arzu karte.
na puch alam-e bargashta-talii Atish
barasti ag jo baran ki arzu karte.
Yeh Aarzu thi
written byMomin Khan Momin
© Momin Khan Momin