jis sar ko garur aj hai yan tajawari ka
kal us pe yahin shor hai phir nauhagari ka
afaq ki manzil se gaya kaun salamat
asbab luta rah mein yan ham safri ka
zindan mein bhi shorish na gai apne junun ki
ab sang madawa hai is ashuftasari ka
har zakhm-e-jigar dawar-e-mahshar se hamara
insaf talab hai teri bedadgari ka
is rang se jhamke hai palak par ke kahe tu
tukra hai mera ashk aqiq-e-jigari ka
le sans bhi nazuk ke ahista hai bahut kam
afaq ki is karagah-e-shishagari ka
tuk mir-e-jigar-sokhta ki jald khabar le
kya yar bharosa hai chirag-e-sahri ka