Duniya mein kaun kaun na yak baar ho gaya,
Par munh phir is tarf na kiya us ne jo gaya.
Phirti hai meri khaak saba dar-b-dar liye,
Ai chashm-e-ashkbaar yeh kya tujh ko ho gaya.
Aagah is jahaan mein nahin ghair be khudaan,
Jaaga wahi idhar se jo mund ankh so gaya.
Tufaan-e-Noah ne to dubai zamin faqt,
Main nang-e-khalq saari khudaai dabo gaya.
Barham kahin na ho gul-o-bulbul ki asshti,
Darta hun aaj baagh mein woh tund khu gaya.
Waiz kise darawe hai yom-ulhisab se,
Giriya mera to naama-e-aamal dho gaya.
Phulenge is zabaan mein bhi gulzar-e-maarfat,
Yaan main zamin-e-sheir mein yeh tukhm bo gaya.
Aya na aitdaal par hargiz mazaaj-e-dahar,
Main garche garm-o-sard-e-zamana samo gaya.
Ai Dard jis ki ankh khuli is jahan mein,
Shabnam ki tara jaan ko apni woh ro gaya.