Soz e gham De K Mujhe Uss Ne Ye Irshaad Kiya
Ja Tujhe Kash-Ma-Kash-e-Dahar Se Azaad Kiya
Wo Karain Bhi Tou Kin Alfaz Main Tera Shikwa
Jin Ko Teri Nigah-e-Lutf Ne Barbaad Kiya
Dil Ki Choton Ne Kabhi Chain Se Rehnay Na Diya
Jab Chali Sard Hawa Maine Tujhe Yaad Kiya
Aisay Main,Main Teray Tajj Takaluf Pe Nisaar
Phir Tou Farmaye Wafa Aap Ne Irshaad Kiya
Iss Ka Rona Nahi Kyun Tumne Kiya Dil Barbaad
Iss Ka Gham Hain Bohat Dair Main Barbaad Kiya
Itna Masoon Hoon Fitrat se, Kali Jab Chatkhi
Jhuk K Maine Kaha, Mujhse Kuch Irshaad Kiya
Meri Har Saans Hai Iss Baat Ki Shahid e Maut
Maine Har Lutf K Mauqay Pe Tujhe yaad Kiya
Mujhko Tou Hosh Nahi Tumko Khabar Ho Shayad
Log Kehtay Hain K Tumne Mujhe Barbaad Kiya
Wo Tujhe Yaad Karay Jisne Bhulaya Ho Kabhi
Humne Tujh Ko Na Bhulaya Na Kabhi Yaad Kiya
Kuch Nahi Iss K siva Josh Hareefon Ka Kalaam
Vasal Ne Shaad Kiya Hijr Ne Nashaad Kiya