tumhare khat main naya ik salam kis ka tha
na tha raqib to akhir vo nam kis ka tha
vo qatl kar ke mujhe har kisi se puchte hain
ye kam kis ne kiya hai ye kam kis ka tha
vafa karenge nibhayenge bat manenge
tumhen bhi yad hai kuch ye kalam kis ka tha
raha na dil main vo be-dard aur dard raha
muqim kaun hua hai maqam kis ka tha
na puch-gach thi kisi ki wahan na av-bhagat
tumhari bazm main kal ehtamam kis ka tha
hamare khat ke to purze kiye parha bhi nahin
suna jo tu ne ba-dil vo payam kis ka tha
inhin sifat se hota hai admi mashhur
jo lutf ap hi karte to nam kis ka tha
guzar gaya vo zamana kahen to kis se kahen
khayal dil ko mere subah-o-sham kis ka tha
har ek se kahte hain kya "Dag" bevafa nikla
ye puche in se koi vo gulam kis ka tha