usne sukuut-e-shab meN bhii apnaa payaam rakh diyaa
hijr kii raat baam par maah-e-tamaam rakh diyaa
aamad-e-dost kii naviid kuu-e-vafaa meN aam thii
maiN ne bhii ik chiraaG saa dil sar-e-shaam rakh diyaa
shiddat-e-tishnagii meN bhii Ghairat-e-maikashii rahii
us ne jo pher lii nazar maiN ne bhii jaam rakh diyaa
dekho ye mere Khvaab the dekho ye mere zaKhm haiN
maiN ne to sab hisaab-e-jaaN barsar-e-aam rakh diyaa
us ne nazar nazar meN hii aise bhale suKhan kahe
maiN ne to us ke paaNv meN saaraa kalaam rakh diyaa
aur Faraz chaahiiye kitanii muhabbateN tujhe
ke maaoN ne tere naam par bachchoN ka naam rakh diyaa